Shri Shani Chalisa lyrics in English
॥Doha॥
Jai Ganesh Girija Suwan, Mangal Karan Krapal ।
Deenan Ke Dhuk Dhoor Kari, Kheejain Nath Nihal ॥
Jai Jai Shri Shanidev Prabhu, Sunahu Vinay Maharaj ।
Karahu Krapa Hey Ravi Tanay, Rakhahu Jan Ki Laaj ॥
॥Chaupai॥
Jayati Jayati Shanidev Dayala ।
Karat Sada Bhaktan Pratipala ॥
Chari Bhuja, Tanu Shyam Virajai ।
Mathey Ratan Mukut Chavi Chajai ॥
Param Vishal Manohar Bhala ।
Tedi Dhrishti Bhrukuti Vikrala ॥
Kundal Shravan Chamacham Chamke ।
Hiy Mal Muktan Mani Dhamke ॥
Kar Me Gada Trishul Kutara ।
Pal Bich Karai Arihi Samhara ॥
Pinghal, Krishno, Chaya, Nandan ।
Yum, Konasth, Raudra, Dhukbhanjan ॥
Sauri, Mandh Shani, Dash Nama ।
Bhanu Putra Poojhin Sab Kama ॥
Ja par Prabu Prasann Havain Jhahin ।
Rankahun Raav Karain Shan Mahin ॥
Parvatahu Tran Hoi Niharat ।
Tranhu Ko Parvat Kari Darat ॥
Raj Milat Ban Ramhin Dinhyo ।
Kaikeyihu Ki Mati Hari Linhiyo ॥
Banhun Main Mrag Kapat Dhikayi ।
Matu Janki Gayi Churayi ॥
Lakhanhin Shakti Vikal Karidara ।
Machiga Dal Main Hahakara ॥
Ravan Ki GatiMati Baurayi ।
Ramchandra Saun Bair Badhayi ॥
Dhiyo Keet Kari Kanchan Lanka ।
Baji Bajarang Beer Ki Danka ॥
Nrap Vikram Par Tuhin Pagu Dhara ।
Chitra Mayur Nigali Gai Hara ॥
Har Naulakkha Lagyo Chori ।
Hath Pair Darvay Tori ॥
Bhari Dhasha Nikrasht Dhikayo ।
Telihin Ghar Kolhu Chalvayo ॥
Vinay Rag Dheepak Mah Khinhyo ।
Tab Prasann Prabhu Hvai Sukh Dhinhayo ॥
Harishchandra Nrap Naari Bikani ।
Apahun Bhare Dom Gar Pani ॥
Taise Nal Par Dasha Sirani ।
BhunjiMin Kood Gayi Pani ॥
Sri Shankarhin Gahyo Jab Jayi ।
Parvati Ko Sati Karayi ॥
Tanik Vilokat Hi Kari Risa ।
Nabh Udi Gayo Gaurisut Sisa ॥
Pandav Par Bhai Dasha Thumhari ।
Bachi Draupadi Hoti Udhari ॥
Kaurav Ke Bhi Gati Mati Maryo ।
Yuddh Mahabharat Kari Daryo ॥
Ravi Kahn Mukh Mahn Dhari Tatkala ।
Lekar Koodi Paryo Patala ॥
Shesh DevLakhi Vinti Layi ।
Ravi Ko Mukh Tai Dhiyo Chudayi ॥
Vahan Prabhu Ke Sat Sujana ।
Jag Diggaj Gardhabh Mrag Swana ॥
Jambuk Sinh Aadi Nakh Dhari ।
So Phal Jyotish Kahat Pukari ॥
Gaj Vahan Lakshmi Grah Aavain ।
Hay Te Sukh Sampati Upjavain ॥
Gadarbh Hani Karai Bahu Kaja ।
Sinh Sidhkar Raj Samaja ॥
Jambuk Buddhi Nasht Kar Darai ।
Mrag De Kasht Pran Sanharai ॥
Jab Aavahi Prabu Swan Savari ।
Chori Aadi Hoy Dar Bhari ॥
Taisahi Chari Charan Yah Nama ।
Swarn Lauh Chandi Aru Tama ॥
Lauh Charan Par Jab Prabu Aavain ।
Dhan Jan Sampati Nasht Karavain ॥
Samata Tamra Rajat Shubhkari ।
Swarn Sarv Sarv Sukh Mangal Bhari ॥
Jo Yah Shani Charitra Nit Gavai ।
Kabahun Na Dasha Nikrasht Satavai ॥
Adbhut Nath Dhikhavain Leela ।
Karain Shatru Ke Nashi Bali Deela ॥
Jo Pandit Suyogya Bulvayi ।
Vidhvat Shani Grah Shanti Karayi ॥
Peepal Jal Shani Diwas Chadhavat ।
Deep Daan Dai Bahu Sukh Pawat ॥
Kahat Ram Sundar Prabu Dasa ।
Shani Sumirat Sukh Hot Prakasha ॥
॥ Doha ॥
Path Shanishchar Dev Ko, Ki Hon Bhakt Taiyar ।
Karat Path Chalis Din, Ho Bhavasagar Paar ॥